Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye - Allama Iqbal

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye – Allama Iqbal

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye

Allama Iqbal Poetry

Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye, Tu Nahin Jahan Ke Liye

نہ تو زميں کے ليے ہے نہ آسماں کے ليے
جہاں ہے تيرے ليے ، تو نہيں جہاں کے ليے

Ye Aqal-o-Dil Hain Sharar Shola-e-Mohabbat Ke
Woh Khaar-o-Khs Ke Liye Hai, Ye Neetan Ke Liye

يہ عقل و دل ہيں شرر شعلہ محبت کے
وہ خار و خس کے ليے ہے ، يہ نيستاں کے ليے

Maqam-e-Parwarish-e-Aah-o-Nala Hai Ye Chaman
Na Sair-e-Gul Ke Liye Hai Na Ashiyan Ke Liye

مقام پرورش آہ و نالہ ہے يہ چمن
نہ سير گل کے ليے ہے نہ آشياں کے ليے

Rahe Ga Ravi-o-Neel-o-Firat Mein Kab Tak
Tera Safina Ke Hai Behar-e-Bekaran Ke Liye!

رہے گا راوی و نيل و فرات ميں کب تک
!ترا سفينہ کہ ہے بحر بے کراں کے ليے

Nishan-e-Rah Dikhate The Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e-Rah Daan Ke Liye

نشان راہ دکھاتے تھے جو ستاروں کو
ترس گئے ہيں کسی مرد راہ داں کے ليے

Nigah Buland, Sukhan Dil Nawaz, Jaan Pursouz
Yehi Hai Rakht-e-Safar Mir-e-Karwan Ke Liye

نگہ بلند ، سخن دل نواز ، جاں پرسوز
يہی ہے رخت سفر مير کارواں کے لي

Zara Si Baat Thi, Andaisha-e-Ajam Ne Isse
Barha Diya Hai Faqat Zaib-e-Dastan Ke Liye

ذرا سی بات تھی ، انديشہ عجم نے اسے
بڑھا ديا ہے فقط زيب داستاں کے ليے

Mere Gulu Mein Hai Ek Naghma Jibreel Ashob
Sanbhal Kar Jise Rakha Hai La-Makan Ke Liye

مرے گلو ميں ہے اک نغمہ جبرئيل آشوب
سنبھال کر جسے رکھا ہے لامکاں کے ليے

 

4 thoughts on “Na Tu Zameen Ke Liye Hai Na Asman Ke Liye – Allama Iqbal

  1. Pingback: ex 17 tuổi
  2. Pingback: sunwin bid

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *