Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin - Allama Iqbal

Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin – Allama Iqbal

Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin

Allama Iqbal Poetry

Tu Ae Aseer-E-Makan! La-Makan Se Door Nahin
Woh Jalwagah Tere Khakdan Se Door Nahin

تو اے اسير مکاں! لامکاں سے دور نہيں
وہ جلوہ گاہ ترے خاک داں سے دور نہيں

Woh Marghzar Ke Beem-E-Khazan Nahin Jis Mein
Ghameen Na Ho Ke Tere Ashiyan Se Door Nahin

وہ مرغزار کہ بيم خزاں نہيں جس ميں
غميں نہ ہو کہ ترے آشياں سے دور نہيں

Ye Hai Khulasa-E-Ilm Qalandari Ke Hiyat
Khadang-E-Jasta Hai Lekin Kaman Se Door Nahin

يہ ہے خلاصہ علم قلندری کہ حيات
خدنگ جستہ ہے ليکن کماں سے دور نہيں

Faza Teri Mah-O-Parveen Se Hai Zara Agay
Qadam Uthao, Ye Maqam Asman Se Door Nahin

فضا تری مہ و پرويں سے ہے ذرا آگے
قدم اٹھا ، يہ مقام آسماں سے دور نہيں

Kahe Na Rahnuma Se Ke Chor De Mujh Ko
Ye Baat Rahroo Nukta Dan Se Door Nahin

کہے نہ راہ نما سے کہ چھوڑ دے مجھ کو
يہ بات راہرو نکتہ داں سے دور نہيں

 

3 thoughts on “Tu Ae Aseer-e-Makan ! La Makan Se Door Nahin – Allama Iqbal

  1. Pingback: link tải sunwin

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *