Takhleeq - Zarb-e-Kaleem Allama Iqbal Poetry

Takhleeq – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | تخلیق

Takhleeq

تخلیق

 

جہان تازہ کی افکار تازہ سے ہے نمود
کہ سنگ و خشت سے ہوتے نہیں جہاں پیدا

Jahan-e-Taza Ki Afkar-e-Taza Se Hai Namood
Ke Sang-o-Khisht Se Hote Nahin Jahan Paida

New worlds derive their pomp from thoughts quite fresh and new
From stones and bricks a world was neither built nor grew.

 

خودی میں ڈوبنے والوں کے عزم و ہمت نے
اس آبجو سے کیے بحر بے کراں پیدا

Khudi Mein Doobne Walon Ke Azam-o-Himmat Ne
Iss Aabjoo Se Kiye Behar-e-Bekaran Paida

The firm resolve of those, Who depths of self explore,
Transforms this stream to sea that has no marge or shore.

 

وہی زمانے کی گردش پہ غالب آتا ہے
جو ہر نفس سے کرے عمر جاوداں پیدا

Wohi Zamane Ki Gardish Pe Ghalib Ata Hai
Johar Nafs Se Kare Umar-e-Javidan Paida

The fellow same is lord of freaks of fate and strife,
Who with eʹery breath he draws creates an eternal life.

 

خودی کی موت سے مشرق کی سر زمینوں میں
ہوا نہ کوئی خدائی کا رازداں پیدا

Khudi Ki Mout Se Mashriq Ki Sarzameenon Mein
Huwa Na Koi Khudai Ka Raazdan Paida

The death of self has made the lands of East effete:
Men who Godʹs secrets share in these realms are deplete.

 

ہوائے دشت سے بوئے رفاقت آتی ہے
عجب نہیں ہے کہ ہوں میرے ہم عناں پیدا

Hawaye Dasht Se Booye Rafaqat Ati Hai
Ajab Nahin Ke Hon Mere Hum Anan Paida

The air of waste gives out the smell of friendship deep
Perhaps there may be some who may my company keep.

(Takhleeq)

 

 

Deen-o-Hunar – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | دین و ہنر

Aurat – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | عورت

Aurat Aur Taleem – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | عورت اور تعلیم