Tapish se meri vaqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai
تپش سے میری وقف کشمکش ہر تار بستر ہے
tapish se meri vaqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai
mirā sar rañj-e-bālīñ hai mirā tan bār-e-bistar hai
تپش سے میری وقف کشمکش ہر تار بستر ہے
مرا سر رنج بالیں ہے مرا تن بار بستر ہے
sarishk-e-sar ba-sahrā daada nūr-ul-ain-e-dāman hai
dil-e-be-dast-o-pā uftāda bar-ḳhurdār-e-bistar hai
سرشک سر بہ صحرا دادہ نور العین دامن ہے
دل بے دست و پا افتادہ بر خوردار بستر ہے
ḳhushā iqbāl-e-rañjūrī ayādat ko tum aa.e ho
faroġh-e-sham-e-bālīñ tāla-e-bedār-e-bistar hai
خوشا اقبال رنجوری عیادت کو تم آئے ہو
فروغ شمع بالیں طالع بیدار بستر ہے
ba-tūfāñ-gāh-e-josh-e-iztirāb-e-shām-e-tanhā.ī
shuā-e-āftāb-e-sub.h-e-mahshar tār-e-bistar hai
بہ طوفاں گاہ جوش اضطراب شام تنہائی
شعاع آفتاب صبح محشر تار بستر ہے
abhī aatī hai bū bālish se us kī zulf-e-mushkīñ kī
hamārī diid ko ḳhvāb-e-zuleḳhā ār-e-bistar hai
ابھی آتی ہے بو بالش سے اس کی زلف مشکیں کی
ہماری دید کو خواب زلیخا عار بستر ہے
kahūñ kyā dil kī kyā hālat hai hijr-e-yār meñ ġhālib
ki betābī se har-yak tār-e-bistar ḳhār-e-bistar hai
کہوں کیا دل کی کیا حالت ہے ہجر یار میں غالب
کہ بیتابی سے ہر یک تار بستر خار بستر ہے
Shab ki vo majlis-faroz-e-khalvat-e-namus tha – Mirza Ghalib Poetry
Miri hasti faza-e-hairat abad-e-tamanna hai – Mirza Ghalib Poetry
7 thoughts on “Tapish se meri vaqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai – Mirza Ghalib Poetry”