Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahi Hai
آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے
Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahi Hai
Taaqat-E-Bedaad-E-Intazaar Nahi Hai
آ کہ مری جان کو قرار نہیں ہے
طاقتِ بیدادِ انتظار نہیں ہے
Dete Hain Jannat Hayaat-E-Dahar Ke Badle
Nashsha Bandaza-E-Khumaar Nahin Hai
دیتے ہیں جنّت حیاتِ دہر کے بدلے
نشّہ بہ اندازۂ خمار نہیں ہے
Giriya Nikaale Hai Teri Bazm Se Mujh Ko
Haaye Ki Rone Pe Ikhtiyaar Nahi Hai
گِریہ نکالے ہے تیری بزم سے مجھ کو
ہائے کہ رونے پہ اختیار نہیں ہے
Ham Se Abas Hai Gumaan-E-Ranjish-E-Khaatir
Khaak Main Ushshaq Ki Gubaar Nahi Hai
ہم سے عبث ہے گمانِ رنجشِ خاطر
خاک میں عشّاق کی غبار نہیں ہے
Dil Se Uthaa Lutf-E-Jalwa Haaye Maani
Gair-E-Gul Aaina-E-Bahaar Nahi Hai
دل سے اٹھا لطفِ جلوہہاۓ معانی
غیرِ گل آئینۂ بہار نہیں ہے
Qatal Ka Mere Kiya Hai Ahad To Baare
Waye! Agar Ahad Ustavaar Nahi Hai
قتل کا میرے کیا ہے عہد تو بارے
وائے اگر عہد استوار نہیں ہے
Tu Ne Qasam Maikashi Ki Khaai Hai Ghalib
Teri Qasam Ka Kuch Aitabaar Nahi Hai
تو نے قسم مے کشی کی کھائی ہے غالب
تیری قسم کا کچھ اعتبار نہیں ہے
Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye – Mirza Ghalib Poetry
15 thoughts on “Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahi Hai – Mirza Ghalib Poetry”