Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye - Mirza Ghalib Poetry

Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye – Mirza Ghalib Poetry

Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye

دیا ہے دل اگر اس کو بشر ہے کیا کہئے

 

Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye
Hua Raqib To Ho, Namabar Hai, Kya Kahiye

دیا ہے دل اگر اس کو بشر ہے کیا کہئے
ہوا رقیب تو ہو نامہ بر ہے کیا کہئے

 

Ye Zid, K Aj Na Awe Aur Aye Bin Na Rahe
Qaza Se Shikwa Hamein Kis Qadar Hai, Kya Kahiye

یہ ضد کہ آج نہ آوے اور آئے بن نہ رہے
قضا سے شکوہ ہمیں کس قدر ہے کیا کہئے

 

Rahe Hai Yun Gah-O-Begah K Ku-E-Dost Ko Ab
Agar Na Kahiye K Dushman Ka Ghar Hai, Kya Kahiye

رہے ہے یوں گہہ و بے گہہ کہ کوئے دوست کو اب
اگر نہ کہیے کہ دشمن کا گھر ہے کیا کہئے

 

Zah-E-Karishma K Yun De Rakha Hai Hamko Fareb
K Bin Kahe Hi Unhen Sab Khabar Hai, Kya Kahiye

زہے کرشمہ کہ یوں دے رکھا ہے ہم کو فریب
کہ بن کہے ہی انہیں سب خبر ہے کیا کہئے

 

Samajh Ke Karte Hain Bazar Mein Wo Pursish-E-Hal
Keh Ye Kahe Ki Sar-E-Rahguzar Hai, Kya Kahiye

سمجھ کے کرتے ہیں بازار میں وہ پرسش حال
کہ یہ کہے کہ سر رہ گزر ہے کیا کہئے

 

Tumhein Nahi Hai Sar-E-Rishta-E-Wafa Ka Khayal
Hamare Hath Mein Kuch Hai, Magar Hai Kya Kahiye

تمہیں نہیں ہے سر رشتۂ وفا کا خیال
ہمارے ہاتھ میں کچھ ہے مگر ہے کیا کہئے

 

Unhen Sawal Pe Za’am-E-Junun Hai, Kyun Lariye
Hamein Jawab Se Qata-E-Nazar Hai, Kya Kahiye

انہیں سوال پہ زعم جنوں ہے کیوں لڑیے
ہمیں جواب سے قطع نظر ہے کیا کہئے

 

Hasad Saza-E-Kamal-E-Sukhan Hai, Kya Kije
Sitam, Baha-E-Mataa-E-Hunar Hai, Kya Kahiye

حسد سزائے کمال سخن ہے کیا کیجیے
ستم بہائے متاع ہنر ہے کیا کہئے

 

Kaha Hai Kisne Ke Ghalib Bura Nahi Lekin
Siway Isak Ki Ashuftasar Hai Kya Kahiye

کہا ہے کس نے کہ غالبؔ برا نہیں لیکن
سوائے اس کے کہ آشفتہ سر ہے کیا کہئے

 

 

 

Rone Se Aur Ishq Mein Bebaak Ho Gaye – Mirza Ghalib Poetry

Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye – Mirza Ghalib Poetry

2 thoughts on “Diya Hai Dil Agar Us Ko Bashar Hai Kya Kahiye – Mirza Ghalib Poetry

  1. Pingback: blote tieten

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *