Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho - Mirza Ghalib Poetry

Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho – Mirza Ghalib Poetry

Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho

گئی وہ بات کہ ہو گفتگو تو کیوں کر ہو

 

Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho
Kahe Se Kuch Na Hua Phir Kaho To Kyunkar Ho

گئی وہ بات کہ ہو گفتگو تو کیوں کر ہو
کہے سے کچھ نہ ہوا، پھر کہو تو کیوں کر ہو

 

Hamaare Zahan Main Is Fikr Ka Hai Naam Wisaal
Ki Gar Na Ho To Kahan Jayein Ho To Kyunkar Ho

ہمارے ذہن میں اس فکر کا ہے نام وصال
کہ گر نہ ہو تو کہاں جائیں؟ ہو تو کیوں کر ہو

 

Adab Hai Aur Yahi Kashmakash To Kya Kijiye
Haya Hai Aur Yahi Go-Mago To Kyunkar Ho

ادب ہے اور یہی کشمکش، تو کیا کیجے
حیا ہے اور یہی گومگو تو کیوں کر ہو

 

Tumhin Kaho Ki Guzaraa Sanam Paraston Ka
Buton Ki Ho Agar Aisi Hi Khu To Kyunkar Ho

تمہیں کہو کہ گزارا صنم پرستوں کا
بتوں کی ہو اگر ایسی ہی خو تو کیوں کر ہو

 

Uljhate Ho Tum Agar Dekhte Ho Aaina
Jo Tum Se Shahar Main Ho Ek Do To Kyunkar Ho

الجھتے ہو تم اگر دیکھتے ہو آئینہ
جو تم سے شہر میں ہوں ایک دو تو کیوں کر ہو

 

Jise Naseeb Ho Roz-E-Siyaah Mera Sa
Wo Shakhs Din Na Kahe Raat Ko To Kyunkar Ho

جسے نصیب ہو روزِ سیاہ میرا سا
وہ شخص دن نہ کہے رات کو تو کیوں کر ہو

 

Hamain Phir Un Se Umeed Aur Unhein Hamari Qadr
Hamari Baat Hi Puche Na Wo To Kyunkar Ho

ہمیں پھر ان سے امید، اور انہیں ہماری قدر
ہماری بات ہی پوچھیں نہ وو تو کیوں کر ہو

 

Ghalat Na Tha Hamain Khat Par Gumaan Tasalli Ka
Na Maane Deeda-E-Deedar Ju To Kyunkar Ho

غلط نہ تھا ہمیں خط پر گماں تسلّی کا
نہ مانے دیدۂ دیدار جو، تو کیوں کر ہو

 

Batao Us Misha Ko Dekhkar Ho Mujh Ko Qaraar
Yah Nesh Ho Rag-E-Jaan Main Faro To Kyunkar Ho

بتاؤ اس مژہ کو دیکھ کر کہ مجھ کو قرار
یہ نیش ہو رگِ جاں میں فِرو تو کیوں کر ہو

 

Mujhe Junoon Nahi Ghalib Wale Baqaul-E-Huzur
Firaaq-E-Yaar Main Taskin Ho To Kyunkar Ho

مجھے جنوں نہیں غالبؔ ولے بہ قولِ حضور
فراقِ یار میں تسکین ہو تو کیوں کر ہو

 

 

 

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair – Mirza Ghalib Poetry

Warasta Us Se Hain Ki Mohabbat Hi Kyun Na Ho – Mirza Ghalib Poetry

One thought on “Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho – Mirza Ghalib Poetry

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *