Main Hoon Mushtaq-E-Jafa Mujh Pe Jafa Aur Sahi - Mirza Ghalib Poetry

Main Hoon Mushtaq-E-Jafa Mujh Pe Jafa Aur Sahi – Mirza Ghalib Poetry

Main Hoon Mushtaq-E-Jafa Mujh Pe Jafa Aur Sahi

میں ہوں مشتاقِ جفا مجھ پہ جفا اور سہی

 

Main Hoon Mushtaq-E-Jafa, Mujh Pe Jafa Aur Sahi
Tum Ho Bedaad Se Khush Is Se Siwa Aur Sahi

میں ہوں مشتاقِ جفا، مجھ پہ جفا اور سہی
تم ہو بیداد سے خوش، اس سے سوا اور سہی

Ghair Ki Marg Ka Gham Kis Liey A Ghairat-E Mah
Hain Hawis Peisha Bohat Wo Na Hua Aur Sahi

غیر کی مرگ کا غم کس لئے، اے غیرتِ ماہ
ہیں ہوس پیشہ بہت، وہ نہ ہُوا، اور سہی

Tum Ho But Phir Tumhein Pindar-E Khudai Kyun Ha
Tum Khudawand Hi Kehlao Khuda Aur Sahi

تم ہو بت، پھر تمہیں پندارِ خُدائی کیوں ہے
تم خداوند ہی کہلاؤ، خدا اور سہی

Husn Main Hoor Se Barh Kar Nahin Hony K Kabhi
Ap Ka Shewa O Andaz O Ada Aur Sahi

حُسن میں حُور سے بڑھ کر نہیں ہونے کی کبھی
آپ کا شیوہ و انداز و ادا اور سہی

Tere Koochy Ka Ha Ma’il Dil-E Muztir Mera
Ka’ba Ik Aur Sahi Qibla Numa Aur Sahi

تیرے کوچے کا ہے مائل دلِ مضطر میرا
کعبہ اک اور سہی، قبلہ نما اور سہی

Koi Dunya Main Magr Baagh Nahin Ha Wa’iz
Khuld Bhi Bagh Ha Khair Aab O Hawa Aur Sahi

کوئی دنیا میں مگر باغ نہیں ہے، واعظ
خلد بھی باغ ہے، خیر آب و ہوا اور سہی

Kyun Na Firdos Main Dozakh Ko Mila Len Ya RAB
Sair K Wastay Thori Si Fiza Aur Sahi

کیوں نہ فردوس میں دوزخ کو ملا لیں، یا رب
سیر کے واسطے تھوڑی سی فضا اور سہی

Mujh Ko Wo Do K Jisy Kha K Na Pani Mangon
Zehar Kuch Aur Sahi Aab-E Baqa Aur Sahi

مجھ کو وہ دو۔ کہ جسے کھا کے نہ پانی مانگوں
زہر کچھ اور سہی، آبِ بقا اور سہی

Mujhse ‘Ghalib’ Yeh Alaai Ne Ghazal Likhwai
Ek Bedaad Gar-E-Ranj-E-Faza Aur Sahi

مجھ سے غالب یہ علائی نے غزل لکھوائی
ایک بیداد گرِ رنج فزا اور سہی

Gayi Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho – Mirza Ghalib Poetry

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair – Mirza Ghalib Poetry

One thought on “Main Hoon Mushtaq-E-Jafa Mujh Pe Jafa Aur Sahi – Mirza Ghalib Poetry

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *