Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair - Mirza Ghalib Poetry

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair – Mirza Ghalib Poetry

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair

گھر جب بنا لیا ترے در پر کہے بغیر

 

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair
Jaanega Ab Bhi Tu Na Mera Gar Kahe Baghair

گھر جب بنا لیا ترے در پر کہے بغیر
جانے گا اب بھی تو نہ مرا گھر کہے بغیر

 

Kahte Hain, Jab Rahi Na Mujhe Taaqat-E-Sukhan
Jaanun Kisi Ke Dil Ki Main Kyunkar Kahe Baghair

کہتے ہیں جب رہی نہ مجھے طاقت سخن
جانوں کسی کے دل کی میں کیونکر کہے بغیر

 

Kaam Us Se Aa Pada Hai Ki Jiska Jahaan Main
Lewe Na Koi Naam Sitamgar Kahe Baghair

کام اس سے آ پڑا ہے کہ جس کا جہان میں
لیوے نہ کوئی نام ستم گر کہے بغیر

 

Jii Main Hi Kuch Nahi Hai Hamaare Wagarna Ham
Sar Jaaye Ya Rahe Na Rahen Par Kahe Bagair

جی میں ہی کچھ نہیں ہے ہمارے وگرنہ ہم
سر جائے یا رہے نہ رہیں پر کہے بغیر

 

Chordunga Main Na Us But-E-Kaafir Ka Pujna
Chhode Na Khalq Go Mujhe Kaafir Kahe Baghair

چھوڑوں گا میں نہ اس بت کافر کا پوجنا
چھوڑے نہ خلق گو مجھے کافر کہے بغیر

 

Maqsad Hai Naaz-O-Gamza Wale Guftagu Main Kaam
Chalta Nahin Hai, Dashna-O-Khanjar Kahe Baghair

مقصد ہے ناز و غمزہ ولے گفتگو میں کام
چلتا نہیں ہے دشنہ و خنجر کہے بغیر

 

Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu
Banati Nahin Hai Baada-O-Saagar Kahe Baghair

ہر چند ہو مشاہدۂ حق کی گفتگو
بنتی نہیں ہے بادہ و ساغر کہے بغیر

 

Bahara Hoon Main To Chahiye Duna Ho Iltafaat
Sunta Nahin Hoon Baat Muqarrar Kahe Baghair

بہرا ہوں میں تو چاہیئے دونا ہو التفات
سنتا نہیں ہوں بات مکرر کہے بغیر

 

Ghalib Na Kar Huzur Main Tu Baar-Baar Arz
Zaahir Hai Tera Haal Sab Un Par Kahe Baghair

غالبؔ نہ کر حضور میں تو بار بار عرض
ظاہر ہے تیرا حال سب ان پر کہے بغیر

 

 

 

Warasta Us Se Hain Ki Mohabbat Hi Kyun Na Ho – Mirza Ghalib Poetry

Aa Ke Meri Jaan Main Qaraar Nahi Hai – Mirza Ghalib Poetry

2 thoughts on “Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair – Mirza Ghalib Poetry

  1. Pingback: naga356
  2. Pingback: lasik

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *