Khushamad - Zarb-e-Kaleem Allama Iqbal Poetry

Khushamad – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | خوشامد

Khushamad

خوشامد

 

میں کار جہاں سے نہیں آگاہ ، ولیکن
ارباب نظر سے نہیں پوشیدہ کوئی راز

Main Kaar-e-Jahan Se Nahin Aagah, Wa Lekin
Arbab-e-Nazar Se Nahin Poshida Koi Raaz

The versed in this world’s business I am not,
There are shrewd folk who always know what’s what.

 

کر تو بھی حکومت کے وزیروں کی خوشامد
دستور نیا ، اور نئے دور کا آغاز

Kar Tu Bhi Hukumat Ke Wazeeron Ki Khushamd
Dastoor Naya, Aur Naye Dour Ka Aghaz

Swim with the tide, flatter Their Excellencies
Of the new dispensation that commences!

 

معلوم نہیں ، ہے یہ خوشامد کہ حقیقت
کہہ دے کوئی الو کو اگر ‘رات کا شہباز

Maloom Nahin Hai Ye Khushamd Ke Haqiqat
Keh De Koi Allu Ko Agar ‘Raat Ka Shahbaz’!

Would it be more vicarious, or—polite,
I wonder, to call an owl ‘the falcon of the night’?

(Khushamad)

 

 

Inqilab – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | انقلاب

Karl Marx Ki Awaz – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | کارل مارکس کی آواز

Ishtarakiat – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | اشتراکیت