Chamak Teri Ayan Bijli Mein, Atish Mein, Sharare Mein- Bang-e-Dara | Allama Iqbal Poetry | چمک تيري عياں بجلي ميں ، آتش ميں ، شرارے ميں

چمک تيري عياں بجلي ميں ، آتش ميں ، شرارے ميں

Chamak Teri Ayan Bijli Mein, Atish Mein, Sharare Mein

 

چمک تيري عياں بجلي ميں ، آتش ميں ، شرارے ميں
جھلک تيري ہويدا چاند ميں ،سورج ميں ، تارے ميں
Chamak Teri Ayan Bijli Mein, Atish Mein, Sharare Mein
Jhalak Teri Haweda Chand Mein, Suraj Mein, Tare Mein
بلندي آسمانوں ميں ، زمينوں ميں تري پستي
رواني بحر ميں ، افتادگي تيري کنارے ميں
Bulandi Aasmanon Mein, Zameeon Mein Teri Pasti
Rawani Behr Mein, Uftadgi Teri Kinare Mein
شريعت کيوں گريباں گير ہو ذوق تکلم کي
چھپا جاتا ہوں اپنے دل کا مطلب استعارے ميں
Shariat Kyun Gireban-Geer Ho Zauq-e-Takallam Ki
Chupa Jata Hun Apne Dil Ka Matlab Istaare Mein
جو ہے بيدار انساں ميں وہ گہري نيند سوتا ہے
شجر ميں ، پھول ميں ، حيواں ميں ، پتھر ميں ، ستارے ميں
Jo Hai Baidar Insan Mein Woh Gehri Neend Sota Hai
Shajar Mein, Phool Mein, Haiwan Mein, Pathar Mein, Sitare Mein
مجھے پھونکا ہے سوز قطرہء اشک محبت نے
غضب کي آگ تھي پاني کے چھوٹے سے شرارے ميں
Mujhe Phoonka Hai Souz-e-Qatra-e-Ashak-e-Mohabbat Ne
Ghazab Ki Aag Thi Pani Ke Chote Se Sharare Mein
نہيں جنس ثواب آخرت کي آرزو مجھ کو
وہ سوداگر ہوں ، ميں نے نفع ديکھا ہے خسارے ميں
Nahin Jinse-e-Sawab-e-Akhrat Ki Arzoo Mujh Ko
Woh Soudagar Hun, Main Ne Nafa Dekha Hai Khasare Mein
سکوں نا آشنا رہنا اسے سامان ہستي ہے
تڑپ کس دل کي يا رب چھپ کے آ بيٹھي ہے پارے ميں
Sukoon Na-Ashna Rehna Isse Saman-e-Hasti Hai
Tarap Kis Dil Ki Ya Rab Chup Ke Aa Baithi Hai Pare Mein
صدائے لن تراني سن کے اے اقبال ميں چپ ہوں
تقاضوں کي کہاں طاقت ہے مجھ فرقت کے مارے ميں
Sadaye Lan Tarani Sun Ke Ae Iqbal Mein Chup Hun
Taqazon Ki Kahan Taqat Hai Mujh Furqat Ke Mare Main

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *