Mard-e-Buzurg - Zarb-e-Kaleem Allama Iqbal Poetry

Mard-e-Buzurg – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | مرد بزرگ

Mard-e-Buzurg

مرد بزرگ

 

اس کی نفرت بھی عمیق ، اس کی محبت بھی عمیق
قہر بھی اس کا ہے اللہ کے بندوں پہ شفیق

Uss Ki Nafrat Bhi Umeeq, Uss Ki Muhabbat Bhi Umeeq
Qeher Bhi Uss Ka Hai Allah Ke Bandon Pe Shafeeq

His contempt has no bound his Loveʹs depth none can sound:
His wrath on men of God is tempered in manner odd.

 

پرورش پاتا ہے تقلید کی تاریکی میں
ہے مگر اس کی طبیعت کا تقاضا تخلیق

Parwarish Pata Hai Taqleed Ki Tareeki Mein
Hai Magar Uss Ki Tabiat Ka Taqaza Takhleeq

Nurtured in mimicryʹs gloom, To tread like sheep his doom;
But he is much inclined to creative bent of mind.

 

انجمن میں بھی میسر رہی خلوت اس کو
شمع محفل کی طرح سب سے جدا ، سب کا رفیق

Anjuman Mein Bhi Mayassar Rahi Khalwat Uss Ko
Shama-e-Mehfil Ki Tarah Sub Se Judda, Sub Ka Rafeeq

In midst of surging throng, He keeps aloof for long:
Like lamp, he lights the hall, But has not mate at all.

 

مثل خورشید سحر فکر کی تابانی میں
بات میں سادہ و آزادہ، معانی میں دقیق

Misl-e-Khursheed-e-Sehar Fikr Ki Tabani Mein
Baat Mein Sada-o-Azadah, Ma’aani Mein Daqeeq

Faqr can like sun of morn with light the mead adorn:
Its speech is frank and free, Though meanings tenuous be.

 

اس کا انداز نظر اپنے زمانے سے جدا
اس کے احوال سے محرم نہیں پیران طریق

Uss Ka Andaz-e-Nazar Apne Zamane Se Judda
Uss Ke Ahwal Se Mehram Nahin Peeran-e-Tareeq

Its views vary with the rest, It deems them right and best;
Its innate slates unknown to mystics with renown.

(Mard-e-Buzurg)

 

 

Hunarwaran-e-Hind – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | ہنروران ہند

Shair-e-Ajam – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | شعر عجم

Shayar – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | شاعر