Nafsiyat-e-Ghulami - Zarb-e-Kaleem Allama Iqbal Poetry

Nafsiyat-e-Ghulami – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | نفسیات غلامی

Nafsiyat-e-Ghulami

نفسیات غلامی

 

شاعر بھی ہیں پیدا ، علما بھی ، حکما بھی
خالی نہیں قوموں کی غلامی کا زمانہ

Shayar Bhi Hain Paida, Ulma Bhi, Hukma Bhi
Khali Nahin Qoumon Ki Ghulami Ka Zamana

There are poets, there are scholars, and there are sages
A nation’s days of slavery are not uneventful!

 

مقصد ہے ان اللہ کے بندوں کا مگر ایک
ہر ایک ہے گو شرح معانی میں یگانہ

Maqsad Hai In Allah Ke Bandon Ka Magar Aik
Har Aik Hai Go Sharah-e-Maani Mein Yagana

But every one of them—poor creatures!—has a single goal,
Though each is unique in the ideas he expounds:

 

بہتر ہے کہ شیروں کو سکھا دیں رم آہو
باقی نہ رہے شیر کی شیری کا فسانہ،

‘Behtar Hai Ke Sheron Ko Sikha Dain Ram-e-Aahu
Baqi Na Rahe Sher Ki Sheri Ka Fasana’

‘Better teach the lion to take flight like a deer,
So that the legend of the lion’s courage is forgotten!’

 

کرتے ہیں غلاموں کو غلامی پہ رضامند
تاویل مسائل کو بناتے ہیں بہانہ

Karte Hain Ghulamon Ko Ghulami Pe Razamand
Taveel-e-Masael Ko Banate Hain Bahana

They seek to make the slaves feel at ease with their slavery,
Pretending to ‘expound and reason things out’.

(Nafsiyat-e-Ghulami)

 

 

Yorap Aur Yahood – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry |  یورپ اور یہود

Manasib – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry |  مناصب

Khushamad – Zarb-e-Kaleem | Allama Iqbal Poetry | خوشامد